kya karoge jaan kar? main anjaan hoon mujhe vaise he rehne do. par likhte rehna padh kar kuch laga jaise khud ko kahi kisi bhatke hue musafir mein dekh liya.
.................. anjaan ho kar bhii anjaan na rehna.... aur jaan kar bhii anjaan rehna...... ajeeb sa hota hai... haa aur ajeeb sa hota hai apni hi aawaaj ki gunj sun na.. ajeeb sa lagta hai jab malum hota hai ki ye meri aawaaj ki gunj nahi kisi aur ki aawaaj hai... ajeeb sa haalat hota hai jab mushkil ho jaata hai apni aawaaj ki gunj aur dusri ki aawaaj me antar dhoondh paana.... ajeeb sa hota hai ehsaas jab kisi ke hone ka aabhaas hota hai.....par sirf gunj sunayi deti hai...ajeeb sa eshaas hota hai jab sab kuch ek bhram sa maalum hota hai.......
aur ajeeb sa hota hai, jab ham apne hee sawaalo mein gum ho kar apne banaaye hue shabdo mein khud ko dhoondte reh jaate hain aur ajeeb sa hota hai, jab hum jo hai, usko chor kar jo nahi hai, uske intezaar mein apni zindagi bita dete hain aur ajeeb sa hota hai, jab u hee kahin koi mil chalte hue mil jaata hai, jo itna kareeb ho kar bhi anjaana sa koi door kahiin hota hai jisko choone ke liye haath badhaaya to ja sakta hai, par kabhi shayad chuaa nahi ja sakta kyoonki choote hee vo bhram sa maloom hota hai
aur ajeeb sa hota hai mera sawaalo mein jawaab dena aur tumhaara sawaalo mein jawaab dhoondna
5 Comments:
kya karoge jaan kar?
main anjaan hoon
mujhe vaise he rehne do.
par likhte rehna
padh kar kuch laga
jaise khud ko kahi
kisi bhatke hue musafir mein
dekh liya.
:|...jaan na chahta hu...
taaki tahe dil se shukriya ada kar saku...agar anjaan bane rehne ke piche koi kaaran hai to..jaan na chahta hu.....
koi kaaran nahi,
par kya zaroori hai
ki har kisi ko jaana jaaye?
pehchaana jaaye
samjha jaaye?
aur phir apni samajh se aanka jaaye?
.................. anjaan ho kar bhii anjaan na rehna.... aur jaan kar bhii anjaan rehna...... ajeeb sa hota hai.
main anjaan hee hoon.
.................. anjaan ho kar bhii anjaan na rehna.... aur jaan kar bhii anjaan rehna...... ajeeb sa hota hai...
haa aur ajeeb sa hota hai apni hi aawaaj ki gunj sun na..
ajeeb sa lagta hai jab malum hota hai ki ye meri aawaaj ki gunj nahi kisi aur ki aawaaj hai...
ajeeb sa haalat hota hai jab mushkil ho jaata hai apni aawaaj ki gunj aur dusri ki aawaaj me antar dhoondh paana....
ajeeb sa hota hai ehsaas jab kisi ke hone ka aabhaas hota hai.....par sirf gunj sunayi deti hai...ajeeb sa eshaas hota hai jab sab kuch ek bhram sa maalum hota hai.......
aur ajeeb sa hota hai, jab ham apne hee sawaalo mein gum ho kar
apne banaaye hue shabdo mein
khud ko dhoondte reh jaate hain
aur ajeeb sa hota hai, jab hum
jo hai, usko chor kar
jo nahi hai, uske intezaar mein apni zindagi bita dete hain
aur ajeeb sa hota hai, jab u hee kahin koi mil chalte hue mil jaata hai,
jo itna kareeb ho kar bhi anjaana sa koi door kahiin hota hai
jisko choone ke liye haath badhaaya to ja sakta hai,
par kabhi shayad chuaa nahi ja sakta
kyoonki choote hee vo bhram sa maloom hota hai
aur ajeeb sa hota hai mera sawaalo mein jawaab dena
aur tumhaara sawaalo mein jawaab dhoondna
Post a Comment
<< Home